Top 5 Sai Bhajan Lyrics

Sai Bhajan Lyrics

1. Sai Chalisa Lyrics

Pahle Sai Ke Charano Mein, Apna Sheesh Navaaun Main.
Kaise Shirdi Sai Aaye, Saara Haal Sunaau Main.
Kaun Hain Mata, Pita Kaun Hain, Yeh Na Kisi Ne Bhi Jaana.
Kahaan Janam Sai Ne Dhaara, Prashna Paheli Sa Raha Bana.

Koi Kahe Ayodhya Ke, Yeh Ramchandra Bhagwan Hain.
Koi Kehta Sai Baba, Pavanputra Hanuman Hain.
Koi Kehta Hai Mangal Moorti, Shri Gajanan Hain Sai.
Koi Kehta Gokul Mohan, Devaki Nandan Hain Sai.

Shankar Samjhe Bhakt Kai To, Baba Ko Bhajte Rahte.
Koi Kehe Avataar Datt Ka, Pooja Sai Ki Karte.
Kuch Bhi Maano Unko Tum, Par Sai Hain Sacche Bhagwan.
Bade Dayaalu, Deenbandhu, Kitnon Ko Diya Jeevan Daan.

Kai Varsh Pahle Ki Ghatna, Tumhe Sunaunga Main Baat.
Kisi Bhagyashali Ki, Shirdi Mein Aayi Thi Baaraat.
Aaya Saath Usi Ka Tha, Balak Ek Bahut Sundar.
Aaya, Aakar Wahi Bas Gaya, Pavitra Shirdi Ki Nagar.

Kai Dinon Tak Raha Bhatakta, Bhiksha Maangi Usne Dar-Dar.
Aur Dikhayi Aisi Leela, Jag Mein Jo Ho Gayi Amar.
Jaise-Jaise Umar Badi, Badhti Gayi Waise Hi Shaan.
Ghar-Ghar Hone Laga Nagar Mein, Sai Baba Ka Gun Gaayan.

Din Digant Mein Laga Goonjne, Phir To Saiji Ka Naam.
Deen-Dukhi Ki Raksha Karna, Yahi Raha Baba Ka Kaam.
Baba Ke Charano Mein Jaakar, Jo Kehta Main Hoon Nirdhan.
Daya Usi Par Hoti Unki, Khul Jaate Dukh Ke Bandhan.

Kabhi Kisi Ne Maangi Bhiksha, Do Baba Mujhko Santaan.
Evamastu Tab Kehkar Sai, Dete The Usko Varadaan.
Swayam Dukhi Baba Ho Jaate, Deen-Dukhi Jan Ka Lakh Haal.
Antar Karan Shri Sai Ka, Sagar Jaisa Raha Vishal.

Bhakt Ek Madrasi Aaya, Ghar Ka Bahut Bada Dhanvaan.
Maal Khazana Bahut Uska, Keval Nahi Rahi Santaan.
Laga Manane Sai Nath Ko, Baba Mujh Par Daya Karo.
Jhanjh Se Jhankrit Naiya Ko, Tum Hi Meri Paar Karo.

Kuldeepak Ke Bina Andhera, Chhaya Hua Hai Ghar Mein Mera.
Isliye Aaya Hoon Baba, Hokar Sharanagat Tere.
Kuldeepak Ke Hi Abhav Mein, Vyarth Hai Dhan Ki Maaya.
Aaj Bhikhaari Ban Kar Baba, Sharan Tumhari Main Aaya.

De-Do Mujhko Putra-Daan, Main Rehunga Jeevan Bhar.
Aur Kisi Ki Aasha Na Mujhko, Sirf Bharosa Hai Tum Par.
Anunay Vinay Bahut Ki Usne, Charano Mein Dhar Kar Ke Sheesh.
Tab Prasann Hokar Baba Ne, Diya Bhakt Ko Yeh Aashirvaad.

Allah Bhala Karega Tera, Putra Janam Ho Tere Ghar.
Kripa Rahegi Tujh Par Uski, Aur Tere Us Balak Par.
Ab Tak Nahi Kisi Ne Paaya, Sai Ki Kripa Ka Paar.
Putra Ratna De Madrasi Ko, Dhany Kiya Uska Sansaar.

Tan-Man Se Jo Bhaje Usi Ka, Jag Mein Hota Hai Uddhaar.
Sanch Ko Aanch Nahi Hai Koi, Sada, Jhooth Ki Hoti Haar.
Main Hoon Sada Sahaare Unke, Sada Rahunga Unka Daas.
Sai Jaisa Prabhu Mila Hai, Itni Hi Kam Hai Kya Aas.

Mera Bhi Din Tha Ek Aisa, Milti Nahin Mujhe Thi Roti.
Tan Par Kapda Door Raha Tha, Shesh Rahi Nanhi Si Langoti.
Sarita Sanmukh Hone Par Bhi, Main Pyaasa Tha.
Durdin Mera Mere Upar, Daavaagni Barsata Tha.

Dharti Ke Atirikt Jagat Mein, Mera Kuch Avalamb Na Tha.
Bana Bhikhari Main Duniya Mein, Dar-Dar Thokar Khata Tha.
Aise Mein Ek Mitra Mila Jo, Param Bhakt Sai Ka Tha.
Janjaalon Se Mukta Magar, Jagati Mein Woh Bhi Mujh Sa Tha.

Baba Ke Darshano Ki Khatir, Mil Dono Ne Kiya Vichar.
Sai Jaise Daya Moorti Ke, Darshan Ko Ho Gaye Taiyar.
Pavan Shirdi Nagar Mein Jaakar, Dekhi Matwali Moorti.
Dhany Janm Ho Gaya Ki Humne, Jab Dekhi Sai Ki Moorti.

Jab Se Kiye Hain Darshan Humne, Dukh Sara Kafoor Ho Gaya.
Sankat Saare Mite Aur, Vipadaon Ka Ho Ant Gaya.
Maan Aur Samman Mila, Bhiksha Mein Humko Sab Baba Se.
Pratibimbhit Ho Uthe Jagat Mein, Hum Sai Ki Aajnya Se.

Baba Ne Samman Diya Hai, Maan Diya Is Jeevan Mein.
Iska Hi Sambal Le Main, Hans’ta Jaunga Jeevan Mein.
Sai Ki Leela Ka Mere, Mann Par Aisa Asar Hua.
Lagta, Jagati Ke Kan-Kan Mein, Jaise Ho Woh Bhara Hua.

Kaashiram Baba Ka Bhakt, Is Shirdi Mein Rehta Tha.
Main Sai Ka, Sai Mera, Woh Duniya Se Kehta Tha.
Silkhar Swyam Vastra Bechta, Gram Nagar Bazaaron Mein.
Jhankrit Uski Hriday Tantra Thi, Sai Ki Jhankaron Mein.

Stabdha Nisha Thi, The Soye, Rajni Anchal Mein Chand Sitare.
Nahi Soojhta Raha Haath Ho Haath, Timir Ke Maare.
Vastra Bechkar Laut Raha Tha, Hai Haat Ke Kashi.
Vichitra Bada Sanyog Ki Us Din, Aata Tha Woh Ekaki.

Gher Raah Mein Khade Ho Gaye, Use Kutile Anyayi.
Maaro Kaato Lut Lo Isko, Iski Hi Dhvani Padi Sunai.
Loot Peetkar Use Wahan Se, Kutile Gaye Champat Ho.
Aghaathon Se Marmahat Ho, Usne Di Thi Sanjna Kho.

Bahut Der Tak Pada Raha Tha Woh, Wahi Usi Haalat Mein.
Jaane Kab Kuch Hosh Ho Utha, Usko Kisi Palak Mein.
Anjaane Hi Uske Munh Se, Nikal Pada Tha Sai.
Jiski Pratidhvani Shirdi Mein, Baba Ko Padi Sunai.

Kshubhdh Ho Utha Maanas Uska, Baba Gaye Vikal Ho.
Lagta Jaise Ghatna Saari, Ghati Unhi Ke Sammukh Ho.
Unmaadi Se Idhar Udhar Tab, Baba Lage Bhatakne.
Sanmukh Cheezein Jo Bhi Aayi Thi, Unko Lage Patakne.

Aur Dhadakte Angaaron Mein, Baba Ne Kar Daala.
Hue Sashankit Sab Wahan, Lakh Taandav Nritya Nirala.
Samajh Gaye Sab Log Ki Koi, Bhakt Pada Sankat Mein.
Kshubhit Khade The Sab Wahan Par, Pade Hue Vismay Mein.

Use Bachaane Ki Hi Khatir, Baba Aaj Vikal Hain.
Uski Hi Pidi Se Pidit, Unka Antastal Hai.
Itne Mein Hi Vidhi Ne, Apni Vichitraata Dikhlai.
Lakh Kar Jisko Janata Ki, Shraddha Sarita Lahrai.

Lekar Sanjnaheen Bhakt Ko, Gaadi Ek Wahan Aayi.
Sanmukh Apne Dekha Bhakt Ko, Sai Ki Aankhein Bhar Aayi.
Shaant, Dheer, Gambhir Sindhu Sa, Baba Ka Antastal.
Aaj Na Jaane Kyon Rah-Rah, Ho Jaata Tha Chanchal.

Aaj Daya Ki Moorti Swyam Tha, Bana Hua Upchaari.
Aur Bhakt Ke Liye Aaj Tha, Dev Bana Pratihari.
Aaj Bhakti Ki Visham Pariksha Mein, Safal Hua Tha Kashi.
Uske Hi Darshan Ki Khatir, The Umade Nagar-Nivaasi.

Jab Bhi Aur Jahaan Bhi Koi, Bhakt Pade Sankat Mein.
Uski Raksha Karne Baba, Jaate Hain Palbhar Mein.
Yug-Yug Ka Hai Satya Yeh, Nahin Koi Nayi Kahani.
Apadgrast Bhakt Jab Hota, Jaate Khud Antaryaami.

Bhed-Bhaav Se Pare Pujari, Maanavta Ke The Sai.
Jitne Pyare Hindu-Muslim, Utne Hi The Sikh Isai.
Bhed-Bhaav Mandir-Masjid Ka, Tod-Fod Baba Ne Daala.
Ram Raheem Sabhi Uske The, Krishna Kareem Allah Taala.

Ghante Ki Pratidhvani Se Gunja, Masjid Ka Kona Kona.
Mile Paraspar Hindu-Muslim, Pyaar Badha Din-Din Doona.
Chamatkaar Tha Kitna Sundar, Parichay Is Kaaya Ne Diya.
Aur Neem Ke Kaduwahat Mein Bhi, Mithaas Baba Ne Bhar Di.

Sach Ko Sneha Diya Sai Ne, Sabko Atul Pyaar Kiya.
Jo Kuch Jisne Bhi Chaha, Baba Ne Usko Wahi Diya.
Aise Sneha Sheel Bhajan Ka, Naam Sada Jo Japa Kare.
Parvat Jaisa Dukh Kyon Na Ho, Palbhar Mein Woh Door Tare.

Sai Jaisa Daata, Arre Kabhi Nahin Dekha Koi.
Jiske Keval Darshan Se Hi, Saari Vipada Door Gayi.
Tan Mein Sai, Mann Mein Sai, Sai-Sai Bhaja Karo.
Apne Tan Ki Sudhi-Budhi Khokar, Sudhi Uski Tum Kiya Karo.

Jab Tu Apni Sudhiyan Tajkar, Baba Ki Sudhi Kiya Karega.
Aur Raat-Din Baba, Baba, Baba Hi Tu Rata Karega.
To Baba Ko Arre! Vivash Ho, Sudhi Teri Leni Hi Hogi.
Teri Har Iccha Baba Ke, Poore Hi Karni Hogi.

Jangal Jangal Bhatak Na Pagal, Aur Dhoondhne Baba Ko.
Ek Jagah Keval Shirdi Mein, Tu Payega Baba Ko.
Dhany Jagat Mein Praani Hai Woh, Jisne Baba Ko Paya.
Dukh Mein, Sukh Mein Prahara Aath Ho, Sai Ka Ho Gun Gaya.

Giren Sankaton Ke Parvat Chahe, Ya Bijli Hi Tut Pade.
Sai Ka Le Naam Sada Tum, Sanmukh Sab Ke Raho Ade.
Is Boodhe Ki Sun Kamaal, Tum Ho Javoge Hairaan.
Dang Rahe Gaye Sun Kar Jisko, Jaane Kitne Chatur Sujan.

Ek Baar Shirdi Mein Sadhu, Dhongi Tha Koi Aaya.
Bholi-Bhaali Nagar Nivaasi, Janata Ko Tha Bhramaya.
Jadi-Bootiyan Unhein Dikhaakar, Karne Laga Wahi Bhashan.
Kehne Laga Suno Shrotagan, Ghar Mera Hai Vrindavan.

Aushadhi Mere Paas Ek Hai, Aur Ajab Ismein Shakti.
Iske Sevan Karne Se Hi, Ho Jaati Hai Dukh Se Mukti.
Agar Mukti Hona Chaho Tum, Sankat Se, Bimaari Se.
To Hai Mera Namra Nivedan, Har Nar Se, Har Naari Se.

Lo Khareed Tum Isko, Iski Sevan Vidhiyan Hain Nyari.
Yadyapi Tuchh Vastu Hai Yeh, Gun Uske Hain Atishay Bhari.
Jo Hai Santatihin Yahan Yadi, Meri Aushadhi Ko Khaye.
Putra-Ratna Ho Praapt, Arre Aur Woh Muh Maanga Phal Paaye.

Aushadh Meri Jo Na Khareede, Jeevan Bhar Pachtaayega.
Mujh Jaisa Praani Shaayad Hi, Arre Yahaan Aa Paayega.
Duniya Do Din Ka Mela Hai, Mauj Shauk Tum Bhi Kar Lo.
Gar Isse Milta Hai, Sab Kuch, Tum Bhi Isko Le Lo.

Hairani Badhti Janata Ki, Lakh Iski Kaarastaani.
Pramudit Woh Bhi Mann Hi Mann Tha, Lakh Logo Ki Naadaani.
Khabar Sunaane Baba Ko Yeh, Gaya Daudekar Sevak Ek.
Sunkar Bhrikuti Tani Aur, Vismaran Ho Gaya Sabhi Vivek.

Hukm Diya Sevak Ko, Satvar Pakad Dusht Ko Laao.
Ya Shirdi Ki Seema Se, Kapati Ko Door Bhagaao.
Mere Rahate Bholi-Bhaali, Shirdi Ki Janata Ko.
Kaun Neech Aisa Jo, Saahas Karta Hai Chhalne Ko.

Palbhar Mein Hi Aise Dhongi, Kapati Neech Lutere Ko.
Mahaanash Ke Mahagart Mein, Pahuncha Doon Jeevan Bhar Ko.
Tanik Mil Aabhaas Madaari, Kruur, Kutil, Anyayi Ko.
Kaala Naachta Hai Ab Sir Par, Gussa Aaya Sai Ko.

Palbhar Mein Sab Khel Band Kar, Bhaga Sir Par Rakh Kar Pair.
Soch Raha Tha Mann Hi Mann, Bhagwan Nahin Hai Kya Ab Khair.
Sach Hai Sai Jaisa Daani, Mil Na Sakta Jag Mein.
Ansh Eesh Ka Sai Baba, Unhein Na Kuch Bhi Mushkil Jag Mein.

Sneha, Sheel, Saujanya Adi Ka, Abhushan Dhaaran Kar.
Badhta Is Duniya Mein Jo Bhi, Manav Seva Ke Path Par.
Wahi Jeet Leta Hai Jagati Ke, Jan Jan Ka Antasthal.
Uski Ek Udaasi Hi Jag Ko, Kar Deti Hai Vihval.

Jab-Jab Jag Mein Bhar Paap Ka, Badh-Badh Hota Hai.
Use Mitaane Ki Hi Khaatir, Avataari Ho Jaata Hai.
Paap Aur Anyay Sabhi Kuch, Is Jagati Ka Har Ke.
Door Bhaga Deta Duniya Ke Daanav Ko Kshan Bhar Mein.

Sneha Sudha Ki Dhaara Barsne, Lagti Hai Duniya Mein.
Gale Paraspar Milne Lagte, Jan Jan Hain Aapas Mein.
Aise Hi Avataari Sai, Mutyulok Mein Aakar.
Samata Ka Yeh Paath Padhaya, Sabko Apna Aap Mitaakar.

Naam Dwarka Masjid Ka, Rakha Shirdi Mein Sai Ne.
Paap, Taap, Santaap Mitaaya, Jo Kuch Paaya Sai Ne.
Sada Yaad Mein Mast Raa Maki, Baithte Rahte The Sai.
Pahar Aath Hi Ram Naam Ka, Bhajte Rahte The Sai.

Sookhi-Rookhi Taaji Baasi, Chahe Ya Hove Pakwaan.
Sada Yaas Ke Bhukhe Sai Ki Khatir The Sabhi Samaan.
Sneha Aur Shraddha Se Apni, Jan Ko Kuch De Jaate The.
Bade Chaav Se Us Bhojan Ko, Baba Paawan Karte The.

Kabhi Kabhi Mann Bahlane Ko, Baba Baag Mein Jaate The.
Pramudit Mann Mein Nirakh Prakriti, Chhata Ko Woh Hote The.
Rang-Birange Pushp Baag Ke, Mand-Mand Hil-Dul Karke.
Beehad Veerane Mann Mein Bhi, Sneha Salil Bhar Jaate The.

Aisi Sumadhur Bela Mein Bhi, Dukh Aapad Vipada Ke Maare.
Apne Mann Ki Vyatha Sunaane, Jan Rahte Baba Ko Ghere.
Sunkar Jinki Karuna Katha Ko, Nayan Kamal Bhar Aate The.
De Vibhooti Har Vyatha, Shanti, Unke Ur Mein Bhar Dete The.

Jaane Kya Adbhut Shakti, Us Vibhooti Mein Hoti Thi.
Jo Dhaaran Karte Mastak Par, Dukh Saara Har Leti Thi.
Dhany Manuj Woh Sakshaat Darshan, Jo Baba Sai Ke Paaye.
Dhany Kamal Kar Unke Jinko, Charan-Kamal Woh Parasaye.

Kaash Nirbhay Tumko Bhi, Saakshaat Sai Mil Jaata.
Barsaon Se Ujda Chaman Apna, Phir Se Aaj Khil Jaata.
Gar Pakadta Main Charan Shri Ke Nahin Chhodata Umra Bhar.
Mana Leta Main Zaroor Unko, Gar Roothte Sai Mujh Par.

2. Main Diwana Sai Tera Lyrics

Main Deewana Sai Tera,
Rakhna Sada Tu Dhyan Mera,
Main Deewana Sai Tera ||

Aas Bandhi Hai Aas Na Tute,
Mujhse Tera Dwaar Na Chhute,
Rakhna Sada Tu Maan Mera,
Main Deewana Sai Tera ||

Sai Tera Naam Nirala,
Shraddha Saburi Dene Wala,
Adbhut Teri Mahima Deva,
Girate Hue Ko Tune Sambhala,
Baba Mere Mann Mandir Mein,
Hai Asthaan Tera,
Main Deewana Sai Tera ||

Din Dukhi Ke Tum Kaam Aaye,
Bigde Sab Ke Kaaj Banaye,
Ek Nek Ki Shiksha Dekar,
Sabko Sidhi Raah Dikhaye,
Sabka Hai Tu Sabse Liye Hi,
Hai Vardaan Tera,
Main Deewana Sai Tera ||

Karta Rahe Lakhha Teri Bhakti,
Dena Mujhko Itni Shakti,
Mujhpe Sada Ho Kirpa Teri,
Paata Rahu Main Dukh Se Mukti,
Tu Daani Hai, Tu Gyaani Hai,
Uncha Gyan Tera,
Main Deewana Sai Tera ||

3. Sai Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai Lyrics

Sai Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai,
Baba Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai,
Sai Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai,
Baba Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai.

Tu Hi Meri Naav Ka Maajhi Ho O,
Tu Hi Meri Naav Ka Maajhi Tu Hi Patvar Hai,
Sai Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai,
Baba Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai.

Ho Agar Achchha Maajhi Naav Phir Paar Hoti,
Kisi Ki Beech Bhanvar Mein Phir Na Darkar Hoti,
Ho Agar Achchha Maajhi Naav Phir Paar Hoti,
Kisi Ki Beech Bhanvar Mein Phir Na Darkar Hoti.

Ab to Tere Hi Havale O,
Ab to Tere Hi Havale Mera Ghar Var Hai,
Sai Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai,
Baba Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai.

Mainne Ab Chhodi Chinta Tera Sath Jo Paya,
Jab Bhi Tujhko Pukar Apne Hi Paas Paya,
Mainne Ab Chhodi Chinta Tera Sath Jo Paya,
Jab Bhi Tujhko Pukar Apne Hi Paas Paya.

Mujhpe Ehashan Tera Ho O,
Mujhpe Ehashan Tera Sai Jo Aapaar Hai,
Sai Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai,
Baba Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai.

Padi Jab Vipada Hampar to Baba Tumne Tala,
Daya Jispar Tumane Ki Ho Gaya Kismat Vala,
Padi Jab Vipada Hampar to Baba Tumne Tala,
Daya Jispar Tumane Ki Ho Gaya Kismat Vala.

Most Listened Bhajan: Hari Bol Hari Bol,
Jo Bhi Tere Dar Pe Aaya Ho O,
Jo Bhi Tere Dar Pe Aaya Uska Beda Paar Hai,
Sai Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai,
Baba Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai.

Mujhe Pag Pag Par Sahara Tumne Diya Hai,
Zindagi Bhar Jeene Ka Gujara Tumane Diya Hai,
Mujhe Pag Pag Par Sahara Tumne Diya Hai,
Zindagi Bhar Jeene Ka Gujara Tumane Diya Hai.

Vishnu Pe Sai Tera Ho O,
Vishnu Pe Sai Tera Bada Upkar Hai,
Sai Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai,
Baba Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai.

Tu Hi Meri Naav Ka Maajhi Ho O,
Tu Hi Meri Naav Ka Maajhi Tu Hi Patvar Hai,
Sai Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai,
Baba Tere Hi Bharose Mera Parivar Hai.

4. Sai Se Mango Sai Re Lyrics

Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re.

Wahi To Hai Jisne Sabki,
Sab Guthiyan Suljhaai Re,
Wahi To Hai Jisne Sabki,
Sab Guthiyan Suljhaai Re.

Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re.

Kahan Kahan Sukh Dhoondha Tumne,
Kis Kis Dware Ghoom Chuke Ho,
Kahan Kahan Sukh Dhoondha Tumne,
Kis Kis Dware Ghoom Chuke Ho.

Jab Se Iss Sangat Mein Aaye,
Befikri Mein Jhoom Chuke Ho,
Jab Se Iss Sangat Mein Aaye,
Befikri Mein Jhoom Chuke Ho.

Ab To Tham Lo Ye Darwaja,
Bahut Thokrein Khai Re,
Ab To Tham Lo Ye Darwaja,
Bahut Thokrein Khai Re.

Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re.

Kiski Hai Gamkhaari Duniya,
Isne Kiska Saath Diya Hai,
Kiski Hai Gamkhaari Duniya,
Isne Kiska Saath Diya Hai.

Jab Sai Ko Yaad Karoge,
Sai Ne Apna Haath Diya Hai,
Jab Sai Ko Yaad Karoge,
Sai Ne Apna Haath Diya Hai.

Sai To Hai Ik Atal Haqiqat,
Duniya Ik Parchhai Re,
Sai To Hai Ik Atal Haqiqat,
Duniya Ik Parchhai Re.

Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re.

Andhiyare Mitte Jate Hain,
Roshni Harsu Phail Rahi Hai,
Andhiyare Mitte Jate Hain,
Roshni Harsu Phail Rahi Hai.

Har Jeevan Ke Har Sapne Mein,
Sai Khushboo Phail Rahi Hai,
Har Jeevan Ke Har Sapne Mein,
Sai Khushboo Phail Rahi Hai.

Samajh Bhi Lo Ye Mahakti Kaliyan,
Kis Gulshan Se Aai Re,
Samajh Bhi Lo Ye Mahakti Kaliyan,
Kis Gulshan Se Aai Re.

Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re.

Salasar Balaji Dham Temple
Wahi To Hai Jisne Sabki,
Sab Guthiyan Suljhaai Re,
Wahi To Hai Jisne Sabki,
Sab Guthiyan Suljhaai Re.

Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re,
Sai Se Mango Sai Re.
Ho…Ho…

5. Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan Lyrics

Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Karuna Ke Saagar Daya Nidhaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Sai Charan Kee Dhul Ko,
Maathe Jo Lagaoge,
Puny Chaaron Dhaam Ka,
Shiradee Mein Hee Paoge,
Hoga Tumhaara Vahee Kalyaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Koee Shahanshaah Unako Kahe,
Shiv Ka Hee to Roop Hai,
Chhaaya Hain Vo Dharm Kee,
Karm Kee Vo Dhup Hai,
Padhake Jo Aaye Hain Ved Puraan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Maanavata Ke Saee Ravi,
Daya Ke Saee Chaand Hain,
Saanchee Prem Kee Dor Se,
Rahe Vo Sabako Baandh Hain,
Mandir Masjid Ek Saamaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Sabako Samajhate Vo Ek Sa,
Raaja Ho Ya Rank Ho,
Bhed Aur Bhaav Ke,
Mita Rahe Kalank Ko,
Sabako Samajhate Nij Santaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Saee Ke Dvaar Har Ghadee,
Saty Kee Barakha Ho Rahee,
Jhoothe is Jahaan Ke,
Paap Kaale Dho Rahee,
Karate Hai Shanka Ka Samaadhaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Bair Rahit Kashish Bharee,
Saee Se Nirmal Preet Lo,
Dushmanee Jo Kar Rahe,
Unake Dil Bhee Jeet Lo,
Sab Pe Chalaate Prem Ke Baan
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Saee Hamen Seekha Rahe,
Sabaka Maalik Ek Hai,
Ek See Nazar Se Vo,
Rahe Sabhee Ko Dekh Hai,
Karate Na Sahate Jo Abhimaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Saee Ke Dvaar Sheesh Dhar,
Do Ghadee Jo So Gae,
Napharaton Ke Naag Bhee,
Vish Rahit Vah Ho Gae,
Har Ek Mushkil Vo Karate Aasaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Saee Ke Dar Asar Hota,
Har Dilee Fariyaad Ka,
Beaulaad Pa Gae,
Sukh Vahaan Aulaad Ka,
Bejaan Bhee Vahaan Pa Gae Jaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Door Andhere Kar Rahee,
Saee Bhajan Kee Roshanee,
Rog Shok Har Rahee,
Saee Naam Sanjeevanee,
Shraddha Saburee Ka Dete Hai Daan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Saaf Shuddh Hotee Hai,
Jin Dilo Kee Bhaavana,
Pooree Hotee Unakee Hee,
Saee Ke Dvaar Kaamana,
Kasht Mitaate Kasht Nidhaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Saee Kee Dhooli Se Kabhee,
Tum Bhabhoot Le Bhee Lo,
Har Bala Se Ladane Kee,
Divy Shakti Le Bhee Lo,
Jag Mein Badhaate Bhakton Kee Shaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Aastha Mein Bheeg Ke,
Saee Ko Jo Hai Pukaarate,
Saee Khivaiya Banake Hee,
Unakee Naiya Taarate,
Man Kee Dasha Vo Lete Hai Jaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Chamatkaar Saee Baaba Ne,
Jab Niraale the Kiye,
Divy Anokhe Paanee Se,
Jal Gae the Sab Die,
Pal Mein Kiya Choor Tha Abhimaan
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Jin Kroor Dushton Ne,
Dar Dilo Mein Bhar Diya,
Seedhe Saade Sant Ne,
Sahee Maarg Unako Dikha Diya,
Daya Dharam Ka Vo Dete Hai Gyaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Saee Ke Dvaar Jo Jhuke,
Mel Man Ka Saaph Kar,
Kasoor Sabake Saee Ne,
Maaf Kiye Unako Apanaakar,
Kahata Sahee Hai Saara Jahaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Duniya Bhar Kee Nemate,
Saee Jee Ke Paas Hai,
Maang Le Jo Hai Maangana,
Phir Kyon Itana Udaas Hai,
Sabako Hee Sukh Ka Denge Varadaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Nishchay Vrksh Ko Yahaan,
Phalate Hamane Dekha Hai,
Khote Sikko Ko Bhee to,
Chalate Hamane Dekha Hai,
Shraddha Ka Dete Sada Varadaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Meethee Vaanee Ka Sada,
Ras Yahaan Maangiye,
Keerti Aur Sammaan Sang,
Yash Yahaan Se Maangiye,
Vinatee Vo Lete Bhakton Kee Maan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Sai Jo Ke Yog Ka,
Kuchh to Gyaan Leejiye,
Aatma Ko Saty Kee,
Kuchh Khuraak Deejiye,
Ghar Baithe Paoge Tum Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Sai Ke Dvaar Mil Gayee,
Jinako Saachee Naukaree,
Sai Daya Se Unakee to,
Saat Puste Tar Gayee,
Dete Alaukik Khushiyon Ka Daan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Jis Kisee Ne Sai Ka,
Jaap Dil Se Kar Lie,
Rahamaton Se Usane Hee,
Apane Ghar Ko Bhar Liya,
Rahane Na Dete Duhkh Ka Nishaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Allha, Eeshoo, Sataguru,
Prabhu Ke Teeno Roop Hain,
Tono Ko Mila Bana,
Sai Ka Ye Svaroop Hai,
Pooja Jinakee Karata Jahaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Door Karalo Man Se Tum,
Pahale Ye Durbhaavana,
Preet Agar Tumhaaree Sachchee Ho,
Poorn Hogee Kaamana,
Chhal Val Lete Pahachaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Sai Sudha Se Ant Ho,
Paap Aur Santaap Ka,
Sai Ne Seekha Diya,
Gur Hain Pashchaataap Ka,
Agyaanee Ko Dete Hain Gyaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Ninda Dvesh Taj Ke Jo,
Sai Sharan Mein Aa Gae,
Karuna Aur Sadabhaav Ka,
Aanand Vo Hee Pa Gae,
Sachchaee Pe Hain Kurbaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Prem Ashru Jo Baha,
Sai Charan Ko Dhoega,
Usake Jeevan Ka Jahar,
Pal Mein Amrt Hoyega,
Kaanto Ko Karate Pushp Samaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Jis Bhee Deh Ko Praan De,
Sai Ka Laad Khaayenge,
Chhod Use Yamaraaj Bhee,
Khaalee Laut Jaayenge,
Pal Tere Vighn Ka Bhee Nidaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Jahaan Chadhe Insaan Hee,
Kaatate Insaan Kee,
Jarurat Hai Vahaan Badee,
Sai Ke Paavan Gyaan Kee,
Nekee Se Roke Badee Toofaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Kahata Hamako Shirdi Ka,
Kan Kan Ye Pukaar Ke,
Sai Ka Pyaar Paana to,
Beej Bolo Pyaar Ke,
Pyaar Ka Dooja Naam Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Dekh Kar Dukhiyo Ko,
Jinake Dil Pighal Gae,
Unako Daya Ke Roop Mein,
Sai Baaba Mil Gae,
Sabako Bulaate Vo Dayaavaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Dhokha Jo Doge Sai Ko,
Khud Hee Dhokha Khaoge,
Lok Aur Paralok Mein,
Kaheen Na Bakshe Jaoge,
Main Hee Nahin Ye Kahata Jahaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Sai Jinako Pyaare Hain,
Vo Deevaane Sai Ke,
Unake Lie Hee Khul Gae,
Divya Khajaane Sai Ke,
Vo Nit Karate Yahee Gunagaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Jab Kaheen Nirdosh Man,
Sai Ko Hee Bulaenge,
Chhod Shirdi Pal Mein Hee,
Sai Daude Aayenge,
Duhkh Har Lenge Daya Ke Nidhaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Sai Ram Sai Shyam Sai Bhagwan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan,
Karuna Ke Saagar Daya Nidhaan,
Shirdi Ke Daata Sabse Mahaan.

Rate this post

Leave a Comment